kisko doon....


apne haathon se tarasha tujhe
tarashte samay  zara bhi aah bhi na lage pankhon ki nok se khurda tujhe
sabse behtareen rang bhare
sooraj ki garmi tujhe sehen nahi
chaanv mein hi tere geelepan ko sukhaya maine....
bahut murtiyan banayi in haathon ne
par tu dil se nikali, ajab hi sabse pyaari kriti bankar tayyar hui sabne bataya mujhe...

kaam tujh par pura hua
kisi mandir ki devi tu kehlaye
sab jan ki aastha ka bindu bane
terre mein prraan dalne ka saamay ab aa gaya.

par
 man mera phasa hua hai
bin parde ke mandiron mein kaise bhejoon
aise kaise kisi bhi poojari par vishwas kar teri janamgaanth bandh doon
soch main hoon
tujhe kisko doon......




No comments:

Post a Comment