jagah....

kahan hai jagah
jahan main apne mann ko bhejun
jahan wo bol sake
khul kar dopahar ki dhoop se thodi der hath
chotti se chaanv mein angradai le sake......


  zyaada bhi nahi ...
sirf utni si jagah apne liye mangta hai wo
par jitne par uske paanv khade hain
apne swabhimaan
ko khada kar sake
bheeetar ke chanchal ubaal ko
utha aur gira sake....

wo bhi aaj doge lauta dega
hawa ban aasman mein rehne ki koshish
jab poori ho jayegi
do paan bhi samet lega
fir tumse jagah kabhi nahi mangega......

I wish for space of true expression.......!!
 

No comments:

Post a Comment